Beijing:
China ne zameen se zameen par waar karne wala World ka 1st Electromagnetic
Rocket tayyar kar liya hai. Isi liye yeh Rocket Tibaat ke dur daraaz Areas mein
test kya ja raha hai. China ko yaqeen hai ke yeh Rocket “Duniya ki Chaat” se China
ke hareef India ke Central City ko nishana bana sakta hai. China is Rocket ko
Launch karne ke liye pehli Electromagnetic Rail Guns ka test kar raha hai.
China Zaraye Ablaagh ne daawa kiya hai ke yeh zameen se zameen taq waar karne wala duniya ka pehla Electromagnetic tabah kun hathyaar hoga. Jisay Duniya ke sab se buland maqam Tibbat ki chotyon se India ko nishana banaya ja sakay ga. Yeh Electromagnetic Rocket aik baqaida Rocket ke muqablay mein ziyada durust tor par apne hadaf ko nishana bana sakta hai aur yeh missiles ki nisbat bohat ziyada sasta bhi hai. Is Project par kaam karne walay aik scienities Han Yin Lee ne sarkari Newspaper Science and Technology ko bataya ke is hathyaar ki range aur technical tafseelaat abhi zahir nahi ki gayeen, taham yeh Electromagnetic hathyaar Rocket ko launching stage mein hi raftaar ko bohat ziyada taiz karne mein madad day sakta hai. South China morning post ke mutabiq yeh Duniya ka apni qisam ka pehla project hai aur yeh programmer ke mutabiq barri kamyabi ke sath musalsal agay barh raha hai. Taham South China morning post yeh sawal zaroor karta hai ke India jo ke aik atomi taaqat hai wo apne Cities par is terhan ke Attacks ka kya jawab dega?


No comments:
Post a Comment