Lahore: Government Pakistan naay Maroof Social Media Website Twitter kay sath Contact
kar liya hai taakay ghair munasib aur qabil aitraaz mawaad ka sad-e-baab kya ja
sakay.
Facebook
ke baad Twitter hokkaam naay bhi Pakistani Government ke sath Coporate karne par
amaadgi ka izhaar kar diya hai jabkay is hawalay se tamam tar mamlaat Pakistan
Tele Communication Authority PTI dekhe gi. Facebook hakkaam kay sath rawabit
aur qabil aitraaz mawaad ki nagrani, neshandahi aur usay hataane ki zimma-e-daari
bhi PTI hi ke paas hai.
PTI
ke Spokesman nay Private News rasan idaray se Baat karte hue kaha hai ke
Twitter hakkaam naay PTI kay sath mazboot taluqaat bananay ka azm zahir kya
hai. PTI Future mein qabil aitraaz mawaad kay khilaaf action aur aik(1) mazboot
Mechanism ki tayari ke liye Twitter hokkaam kay sath baatcheet kar rahi hai. Halake Government Pakistan Twitter par mojood makhsoos aur qabil aitraaz mawaad hataane
ke liye Effective tareeqa-e-car ki talaash mein thi taham is hawalay se Twitter
ka koi makhsoos tareeqa-e-car nahi albata haal hi mein Twitter naay Fake News
aur qabil aitraaz mawaad kay khilaaf Crack Down zaroor bhi kya tha.

No comments:
Post a Comment