Chines Experts ek aisay
satellite par kam kar rahay hain jo laser istemaal karte hue samandari satah ke
neechay chhupi dushman ki aabdozon ka suraagh laga sakta hai.
Is mansoobay ko Project
Guan lain ka naam diya gaya hai. Chines khabar rasan idaron ke mutabiq mujawaza
satellite taaqatwar Laser se musallah hoga aur usay Especially pani se 500
meter geherai mein aabdozon ki shanakht ke liye tayyar kya gaya hai. Doosri
janib satellite ko samandari tahaqeeq ke liye bhi istemaal kya jasakay ga.
Lafz Guan Lan ka matlab “Bardi
lehron par nazar rakhnay wala” ke hain. Is zameen mein aik tajurbah gaah bhi
qaim ki gayi hai. Taham Website ke mutabiq, mansoobay ka maqsad Chines samndron
ki nigrani hai. Kaha ja raha hai ke satellite ki tayari mein 20 se zayed idaray
din raat masroof hain.


No comments:
Post a Comment